Tuesday 17 April 2018

Admob Account kaise banaye aur Paise kamaye [Full Guide]

Admob Account kaise banaye? Android ya IOS app ko free me Monetize karke paise kamana chahte hai to aaj ke iss post me mai aapko batane Wala Hoon ki admob account kaise banaye

How To Make AdMob Account AdMob Account Kaise Banaye Hindi Me

Admob Ek Aisa platform Hai jis ki madad se aap apne Android or iOS app ko Badi hi aasani se monetize kar sakte hai aur admob account banane ke liye aapko sirf ek Gmail address Ki Zaroorat hoti hai

Agar aap soch rahe hain ki admob Account banane ke liye Hame approval ki bhi jarurat Hogi toh me aapko ye bata du ki AdMob me Account banane ke liye kisi bhi approval process ki jarurat nhi hoti hai

Google admob account banane ke liye Aapko Kisi bhi threshold ya approval Ki Zaroorat Nahi Hoti Hai Toh isme aap sirf apni kuch details enter Karke Apna new admob account bana sakte hain

Wo bhi bina approval ke to main aapko Thoda Aur detail Mein Bata deta hoon Jis Se Aap Ko Koi pareshani Na Aaye!

AdMob Account Kaise Banate hai?


Admob Account banane ke liye aapko hamare iss post ko acche se padna hoga aur jo AdMob Account banane ke steps bataunga use follow karte rahna hai warna aapko AdMob Account banane me problem bhi aa sakti hai!

Admob Account Kaise banate hai?

Admob account banane ke liye Niche diye gaye AdMob banane ke steps ko follow karte rahe ๐Ÿ˜Š


  • AdMob Account banane ke liye sabse pahle aapko AdMob ki official site ko open karna hai hai
AdMob Account Kaise Banaye



  • AdMob ki site open karne ke baad aapko apko top left corner se SignUp button par click karna hai

Apko yaha par apne Gmail account se signin karna hoga aur agar gmail nhi hai to aap gmail account create karke dobara signup par click karke apna Admob account bana sakte hai

Login to Admob

Note: Dhyan rahe AdMob Account banane ke liye aapko ek gmail address ki jarurat hogi, jisme aapki age 18 saal honi jaruri hai! Aur AdMob Privacy Policy me ye hi likha hai


  • Gmail Se Login karke ke baad aapko ek form fill karna padega jisme aapko apni details enter karna padega jaise ki
AdMob Account Kaise Banaye, signup for Google AdMob

  1. Country
  2. Time Zone
  3. Billing Currency

Ye detail enter karne ke baad aapko Google AdMob ke Privacy Policy Ko accept karna hai aur Uske baad "Create AdMob Account" par click kare!

Aap jaise hi create Admob Account par click karegege to aapka Account successfully Created ka message aapko apke screen par dikhega aur ab aapko ek AdMob Account successfully ban jaane ka mail bhi mil jayega!๐Ÿ˜Š

Lekin abhi kaam poora nhi hua hai abhi aapke samne ek aur page open hoga kisme kuch cheezo ko aapko tick karna padega, wo aapki marzi hai aap yes bhi kar skate hai aur No par bhi tick kar skate hai

Tick karne ke baad apko Verify AdMob Account par click karna hai

Dosto ab ek aur page open hoga jisme Aapko apna ek Mobile Number Provide karna hai, mobile number enter karne ke baad aapko ek message milenge jisme " Six Digit AdMob Verification Code" hoga use enter karne ke baad aap Continue par click kare!
Dosto ummed karta hu ki aapne apna AdMob Account successfully bana liya hoga! Ab aapko pata chal gaya hoga ki AdMob Account Kaise Banate hai

Dosto agar aapko hamara ye post " AdMob Account Kaise Banaye " pasand aaya ho to aap please zarurat mando ke sath share kare!

Aur agar aap kisi problem face kar rahe hai to mujhe comment karke bataye, Thanks ๐Ÿ˜Š